VidMate Kaise Download Kare | VidMate Download Karo (2024)

Friends, YouTube ki Videos Download karne me lagbhag sabhi logo ko dikkat hoti hai. Kyonki YouTube ne abhi tak videos ko gallery me download karne ke liye koi option nahi diya hai. Aaj hum aapko VidMate Kaise Download Kare, VidMate download karne ka tarika kya hai is baare me batane wale hai. Jisse aapki ye preshani bhi solve ho jayegi.

Jiski help se aap MP4 Song, Bollywood Movie ya phir Kisi bhi prakar ki Videos aasani se download kar sakte hai.

Ji haan market me bhut saare aese Apps available hai jinki help se aap Youtube ya phir dusre kisi bhi platform ki videos jaise ki Facebook, Instagram, Tumblr ki sabhi videos ko download karke dekh sakte hai.

VidMate unme se ek popular aur sabse jyada use kiya jaane wala App hai. Jo ki bilkul free hai. Ise aap apne Mobile phone aur Computer me install kar sakte hai.

Ye App aapko Google play store par nahi milega. Kyonki ye Google ki policy ka palan nahi karta.

YouTube nahi chahta koi bhi YouTube platform ki video ko download kare. Aur video ko edit ya phir copy karke kisi dusre platform par upload kare. Isliye usne abhi tak YouTube videos ko Gallery me download karne ki suvidha nahi di hai.

VidMate App ki help se aap kisi bhi Video, Song ya phir Movie ko bhut kam time aur achi quality me download karke dekh sakte hai.

To chaliye aage jante hai विडमेट कैसे डाउनलोड करें. Humne aapko yahan विडमेट डाउनलोड कैसे करें iski complete jankari share ki hai. To aap aaram se VidMate download karo aur uske maje lo.

Original VidMate Kaise Download Karen Step By Step

VidMate Kaise Download Kare

Download karne se pehle aapko batade VidMate Kya hai. VidMate Video Download karne ka sabse badhiya tarika hai. Is App ke jariye aap aasani se Kisi bhi Platform ki video apni gallery me download kar sakte hai.

VidMate se aap apne Smart phone aur PC me Video ko download kar sakte hai. Humne Yahan VidMate kaise download karte hain dono tarike bataye hai.

VidMate App Download Karne Ka Tarika (Phone Me)

VidMate download karna hai to aap humare dwara bataye gaye steps ko follow kare:

  • Step 1. VidMate ka Latest Version download karne ke liye Neeche Diye gaye link par click kare. Ya phir aap

Download VidMate

  • Step 2. Yahan “Latest Version” ke option par click kare. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
Vidmate download karna hai
  • Step 3. Jaise hi aap click karenge aapke samne Download ka option aajayega. “Download” button par click karke iska Latest version download kar lijiye.
VidMate download kaise kare
  • Step 4. Download karne ke bad ise install kijiye.
  • Step 5. Install hone ke baad aap ise open karke iska use kar sakte hai.

Computer Me VidMate Kaise Download Kare:-

Agar aap Computer me is App ko install karna chahte hai to ye bhi bhut aasan hai. Bus aapko neeche bataye gaye steps ko follow karna hai.

  • Step 1. Computer me VidMate download karne ke liye aapko sabse pehle apne PC me BlueStacks ko download karna hoga.
Computer me Video Download kaise kare

BlueStacks ek software hai. Jiske dwara aap Android Apps ko apne PC me chala sakte hai.

Download karne ke liye iski website par jaaye Bluestacks.com aur phir “Download Bluestacks” par click kare. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

PC me youtube video download kaise kare
  • Step 2. Download karne ke bad ise install kare.
  • Step 3. Install hone ke baad ise open kare. Aur iske search box me VidMate App type karke search kare.
  • Step 4. Ab Aap VidMate App ko download karne ke bad install karke use kar sakte hai.

Jio Phone Me ओरिजिनल विडमेट कैसे डाउनलोड करें?

Bhut saare log Jio phone ka istemal kar rahe hai. Lekin unko nahi pata VidMate Kaise Download Hota hai. Jio phone me bhut saare features available hai. Isme aap is App ko bhi download kar sakte hai.

Download karne ke liye bus kuch steps ko follow karna hai.

  • Go to Menu Section:- Sabse pehle Jio phone ke menu me jaaye. Wahan browser open kare.
  • Search VidMate:- Browser me aapko VidMate App search karna hai.
  • Click on Up to Down link:- Search Karte time aapko bhut saari websites dikhengi. Unme se Up to Down wali website ke link par click kare. Aur Vidmate App download kare.
  • Install:- Ab aapko Menu me Jakar settings me Download folder ko open karna hai. Aur yahan se aap apne Jio Phone me VidMate install kar sakte hai.

VidMate Se Video Kaise Download Kare?

App install karne ke baad baat aati hai YouTube, Dailymotion, Facebook in sabki videos kaise download kare.

Maine yahan Youtube ki video download kaise kare ke baare me bataya hai.

  • YouTube video download karne ke liye sabse pehle apne phone me VidMate App open kare. Uske bad jo bhi video aap download karna chahte hai use type karke search kare.
  • Ab aapke samne bhut saari videos ki list aajayegi. Jis bhi video ko aap download karna chahte hai uske samne “Download Icon” bana hoga us par click kare.
  • Click karte hi aapke samne Video quality select karna ka option aayega. Jis bhi Format me aap download karna chahte hai. Us format ko select kare.
  • Format select karte hi aapki video downloading par lag jayegi. Download complete hone ke baad aap apne phone me video dekh sakte hai.
Conclusion – VidMate Kaise Download Kare

So friends, Umeed karte hai aapko ache se samajh aagaya hoga apne device me VidMate kaise download karte hain, Vidmate download kaise karen aur Gallery me VidMate se video download kaise kare.

Phir bhi post se juda aapka koi sawal ya sujhav hai. To aap hume comment karke jarur bataye.

Post pasand aaya to social sites par jarur share kare. Aur aese hi apna support dete rahe.

Aesi jankari future me paane ke liye aap hume Facebook Page par Follow kar sakte hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

4 thoughts on “VidMate Kaise Download Kare | VidMate Download Karo (2024)”

Leave a Comment