Affiliate Marketing Meaning in Hindi | Affiliate Marketing Kya Hai?

Hello Friends, Aaj hum bat karne wale hai Affiliate Marketing Kya Hai (Affiliate Marketing Meaning in Hindi), एफिलिएट मार्केटिंग कैसे शुरू करें और isse paise kaise kamaye.

To friends complete jankari ke liye post ko pura read kare. Jisse aap samaj paaye Affiliate Marketing kya hai.

Online paise kamane ke bhut se tarike hai. But aaj hum bat karenge Affiliate marketing in Hindi ke baare me. Ye online earning karne ka bhut hi acha aur aasan tarika hai.

Bhut saare Bloggers aur YouTubers already affiliate marketing se online earning kar rahe hai. But kaafi aese bloggers hain jinhe abhi tak affiliate marketing ke baare me nahi pata.

Aur agar pata hai ya unhone iska naam suna bhi hai. To unko iski puri jankari nahi hai. Isse kitni badhiya online earning ki ja sakti hai. To chaliye jaante hai aakhir Affiliate marketing kya hai.

Affiliate Marketing Meaning in Hindi (एफिलिएट मार्केटिंग क्या है)?

Affiliate Marketing Meaning in Hindi

Waise to affiliate marketing purane zamane se hi chali aarahi hai. Bus antar itna hai pehle ise log offline kiya karte the. But jabse technology aur internet ka istemal tezi se hone laga hai. Tabse ise online jyada kiya ja raha hai aur kaafi log isse bhut achchi earning bhi kar rahe hai.

Affiliate marketing online earning karne ka ek aesa tarika hai jahan agar aapke pass sale karne ke liye khud ka product ya service nahi hai. To aap kisi aur company ka product sale karke commission kama sakte hai. Chaliye Jaante hai kaise.

Jaise pehle ke time me aapne dekha hoga log shops par ya ghar ghar jake aapna product sale karte the. To wo kya tha wo bhi affiliate marketing thi. Usme company unlogo ko product sale karne par kuch commission deti thi.

Usi tarah aaj agar aap apna Blog Banakar uspar kisi company ka product promote karte hai. Aur usey sale karte hai to wo company aapko ek commission deti hai.

Commission rate har company ke alag alag hote hai. Woh aap company ki commission rate list me jakar dekh sakte hai. Commission rate product par depend karte hai. Aap apne topic ke hisab se product choose kar sakte hai.

Jaise aapka blog Gadgets se related hai to aap laptop ya mobile product select kar sakte hai. Fashion se hai to beauty products.

Jo bhi product aap select karte hai usey promote karne ke liye aapki website par Targeted traffic aana chahiye. Tabhi aap Affiliate se earning kar payenge. Apni website ya blog par tabhi affiliate product lagaye jab traffic thoda jyada aane lage jisse aapki affiliate sale ho sake.

Affiliate Marketing Kaise Kaam Karti Hai?

Affiliate Marketing kaise kaam karti hai?

Aap ye to samaj gaye hi honge affiliate marketing kya hai in Hindi (what is affiliate marketing meaning). To chaliye ab baat karte hai yeh kaam kaise karti hai.

Jo log internet se paisa kamana chahte hai aur apna affiliate business start karne ki soch rahe hai. Unke liye ye janna jaruri hai ke yeh kaam kaise karti hai. Basically, Iska use company ki sale increase karne ke liye kiya jaata hai.

Ye ek commission based business hai. Jisme product banane wali company apne product un logo ke dwara sale karwati hai. Jo unke program ko join karte hai.

Maan lijiye aap online business karna chahte hai. But aapke pas khud ka koi product nahi hai. To aap kisi aesi company ko join kar sakte hai jo product banati hai. Aur agar aap uske product ko apni website ya blog par promote karte hai. To Jab bhi koi us product ko wahan se buy karta hai. To woh company aapko ek commission deti hai.

Jab aap affiliate program join karte hai tab aapko ek panel ya dashboard milta hai. Jiske dwara aap affiliate link create karte hai. Aur usme aapki ek unique Id shamil hoti hai. Jiske dwara company yeh track karti hai sale kis ke dwara ki gayi hai. Jisse jis bhi person ne sale ki hai company usko commission de sake.

Ab aap affiliate marketing kya hota hai aur ye kaise kaam karti hai. Dono ko achche se samajh gaye honge.

Affiliate Marketing Se Related Kuch Important Terms

Is marketing program me kuch aese terms aur words ka use hota hai. Jinke baare me aapko pata hona chahiye. Agar aap koi bhi affiliate program ke sath judne ja rahe hai ya pehle se jude hue hai. To chaliye dekhte hai aese konse terms hai.

1. Affiliate

Affiliate un logo ko kaha jata hai jo kisi company ka affiliate program join karte hai. Aur apne dwara khud ki website, blog ya social site par unka product promote karke sale karte hai.

2. Affiliate ID

Yeh ek unique ID hoti hai jo aapko program ko join karte time milti hai. Iske dwara company sales ka track rakhti hai.

3. Vendor (Merchant)

Jis bhi company ka product aap promote karte hai. Woh company vendor ya merchant kehlati hai.

4. Affiliate Marketplace

Bhut saari aesi companies hai jo alag alag categories me is program ko offer karti hai. Unhe affiliate marketplace kaha jaata hai.

5. Affiliate Link

Ye wo link hote hai jinki help se aap product ko promote karte hai. Aur isi link ke dwara agar koi product buy karta hai to aapko commission milta hai. Aur Isi link ke zariye companies sales ko track karti hai.

6. Commission

Jab product successfully sale ho jata hai. Tab company dwara jo payment ki jati hai usey commission kaha jata hai. Ye sale ki ek percentage ho sakti hai ya phir pehle se decided koi amount. Jise aap program join karte time dekh sakte hai.

7. Payment Threshold

Affiliate marketing me aapko ek minimum amount tak sale karni hoti hai. Jo company dwara decided hoti hai. Jab aap us amount ko cross kar lete ho tab company aapko payment karti hai. Isi ko payment threshold kaha jata hai. Alag alag programs ki threshold unki company dwara decided hoti hai.

8. Link Clocking

Jyadatar links dikhne me bhut lambe hote hai jo achche nahi lagte. Unko chota karne ke liye URL shortners ka use karke unhe chota kiya jaata hai. Jise link clocking kehte hai.

Affiliate Marketing Program Ko Kaise Join Kare?
How to join Affiliate Marketing Program

Affiliate program ko join karna bhut hi aasan hai, Bus aapko kuch steps ko follow karna hota hai. Aur aap easily apna account create kar sakte hai. Sabse pehle aap jis bhi company ke program ko join karna chahte hai. Aapko us company ka affiliate program search karna hoga.

Search karne ke liye aap us company ke naam ke aage affiliate laga kar search kare. Jaise aapko amazon affiliate program join karna hai. To “Amazon affiliate” se search karein. Agar us company ka affiliate program hoga to wo aapko mil jayega. Nahi hua to aap dusri company ka join kar sakte hai.

Affiliate marketing for beginners ke liye Amazon affiliate program sabse achcha hai aur isko join karna bhut aasan hai. To maine is post me Amazon affiliate kaise join kare uske baare me btaya hai. Sabse pehle aap amazon associate program par jaaye. Yahan aapko new account create karna hoga jiske liye aapko kuch details fill karni hogi jaise:-

Name
Email Id
Address
Mobile Number
PAN card details
Website/Blog URL (Jahan aap affiliate product ko promote karenge)
Banking details (Jahan aap payment lena chahte hai)

Jab aap saari information thik tarike se bhar kar submit kar dete hai. To aapke pas ek confirmation mail aata hai. Aapka account verified ho gaya hai aur ab aap products ko promote kar sakte hai.

Is post me maine Amazon affiliate marketing kya hai, Amazon program kaise join kare is baare me bataya hai. Dusra koi aur program isse alag bhi ho sakta hai. Kyonki sabhi companies ki policy aur rules alag-alag hote hai.

Best Affiliate Websites Konsi Hai

Waise to internet par bhut se affiliate marketing programs hai. But maine kuch popular aur best companies ki list nichey aapko di hai. Jo aapko acha commission deti hai aur market me kaafi time se hai.

Best Affiliate Websites

Amazon affiliate
Commision Junction (CJ)
Jvzoo
Flipkart
eBay
Shopclues
ShareASale

Affiliate Marketing Program Se Related Important Questions (FAQ’S)

Affiliate marketing join karte time logo ke man me bhut se question aur doubt hote hai. Jinme se sabse jyada puche jaane wale sawaal ko humne niche post me shamil kiya hai.

Affiliate Marketing Ke Liye Website/Blog Ka Hona Zaruri Hai?

Nahi, Ye zaruri nai hai. But aapke pas website ya blog hai to yeh sabse achcha way hai isse earning karne ka. Yahan aapko readers laane nai padhte. Log khud search karke aapke blog par aate hai. Website nahi bhi hai to aap social sites par bhi link ko promote kar sakte hai. Agar us company ki policy social site par product ko promote karne ke liye allow karti hai.

Affiliate Marketing Karne Ke Liye Koi Qualification Ya Course Karne Ki Jarurat Hoti Hai?

Nahi, Aapko iske liye koi course karne ki zarurat nahi hai. Internet aur YouTube par bhut saare blogs aur videos hai jo iske baare me genuine knowledge dete hai.

Affiliate Marketing Se Kitni Earning Kar Sakte Hai?

Iski koi limit nahi hai aap jitna jyada sale karenge utna jyada aap isse kama sakte hai. Yeh totally aap par depend karta hai.

Google AdSense Aur Affiliate Program Ek Sath Join Karne Se Koi Problem To Nahi Hogi?

Ji nahi, Aap Google AdSense ke sath me Affliate links aur Ads use kar sakte hai. Ye legal hai Google AdSense ko isse koi problem nahi hoti.

Conclusion

Umeed karte hai aap Affiliate marketing kya hai, Affiliate marketing meaning in Hindi, Affiliate marketing details in Hindi, Affiliate marketing kaise kare ke baare me achche se samajh gaye honge. Agar aapka koi sawaal hai to aap comment box me puch sakte hai.

Is post me maine Affiliate marketing in Hindi meaning (What is affiliate marketing Hindi) ke basics bataye hai. Aane wali post me hum iske baare me aur jyada janenge. To aap regular Hindi Blogging Hub ko visit karte rahiye.

Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.

Agar ye post aapko acha laga to isko social sites par jyada se jyada share kijiye. Aur aese hi apna support dete rahiye. Aap hume Facebook, Twitter, Instagram par bhi follow kar sakte hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

6 thoughts on “Affiliate Marketing Meaning in Hindi | Affiliate Marketing Kya Hai?”

Leave a Comment